Friday, 23 August 2013

Jab Mai Tujhe Sochta Hun

Jab mai tumhe sochta hun ,
aankhon me ek chamak si aa jati hai ,
raushni hi raushni charo taraf chaa jati hai ,
jab mai tujhe sochta hun.

Na jaane kaise wo riste hai ,,
jinhe yaad kar nigahen bhar jati hai
hum to bhool baithen hain khud ko teri yaadon me,
na jaane wo pal kya kah jaate hai ,
jab  rahta hun akele to ek aawaj si aati hai ,
sayad mujhko tere paas me bulati hai .
akele hoker bhi mai akela hun nahi ,
sayad yahi hai jo mujhe soch me le jaati hai.

Jab mai tumhen sochta hun ,,
saansen tham si jaati hai ,
bahen bandh si jaati hai ,
na jaane wo kya nasha hai ,
jab mai tujhe sochta hun.

Dhuaan sa uthta hai aankhon ke darmiyaan ,
sayad inhe koi aur pasand nahi ,
chehre se jaake pooncha ki kya baat hai ,
wo  kahte hai hame koi pasand nahi..
  •  
Himmat si aa jati hai man me 
irade majboot ho jate hai ,
kadam dagmate nahi hai ,,,
manzil nazar aati hai ,,

Sukoon aa jata hai dil ko ,
tu jab bhi kareeb hota hai ,
aise hi saath rahna mere kyonki ,
mai tumje hi sochta rahta hun..

No comments:

Post a Comment